Pages

Taptay sehraaon pe garja

Taptay sehraaon pe garja sir e darya barsa
thi talab kis ko magr abr kahan ja barsa

kitnay toofanon ki hamil thi laho ki ik bond
dil main ik lehr utthi aankh se darya barsa

koi gharqaab koi mahi e be aab huwa
abr e be-faiz jo barsa bhi to kaisa barsa

charhtay daryaoon main tofaan uthanay walay
chand bondain hi sir e daman e sehra barsa

tanz hain sukhta janoon pe garajtay badal
ya to ghanghoor ghatain na utha, ya barsa

abr o baraan k khuda, jhomta badal na sahi
aag hi ab sir e gulzar e tamanna barsa

apni qismat k ghataon main bhi jaltay hain Faraz
aur jahan wo hain wahan abr ka saya barsa