Pages

Kuch toh ehsaaas e ziyaan tha

Kuch Toh Ehsaaas-E-Ziyaan Tha Phele
DilL Ka Ye Haal Kahan Tha Phele...

Ab Tou Manzil Bhi Hai Khud Garm-E-Safar
Har Qadam Sang-E-Nishaan Tha Phele...

Safar-E-Shoq Ke Farsang Na Pooch
Waqt Be-Qaid Makaan Tha Phele...

Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab
Is Mein Andaisha-E-Jaan Tha Phele...

Yun Na Ghabraye Howay Phirtay Thay
Dil Ajab Kunj-E-Amaan Tha Phele...

Ab Bhi TU Paas Nahi Hai Laikin
Is Qadar Door Kahan Tha Phele...

Dairay Daalay Hain Bagolon Ne Jahan
Os Taraf Chashm-E-Rawaan Tha Phele...

Har Kharab Ye Sadaa Deta Hai
Mein Bhi Aabaad Makaan Tha Phele...

Kia Se Kia Ho Gayi Dunya Pyaaray
TU Waheen Per Hai Jahaan Tha Phele...

Ham Ne Aabaad Kia Mulk-e-Sukhan
Kaisa Sunsaan Samaa Tha Phele...

Ham Ne Bakshi Hai Khamoshi Ko Zabaan
Dard Majboor-E-Fugaan Tha Phele...

Ham Ne Roshan Kia Maamoor-e-Gham
Warna Har Simt Dhuwaan Tha Phele...

Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya “Nasir Kazmi”
Khana-E-Barbaad Kahan Tha Phele...