New kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye
wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye...

Jis dhup ki dil ko thandak theie wo dhup usi k sath gai
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye...
wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha
ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye...
ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-E-gazal hi nahi
aiwan-E-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye...
muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza
in khali kamron main Nasir Kazmi ab shamma jalaun kis k liye...